Sunday, November 28, 2010

na sukune dil ki hai aarjoo


Na sukune dil ki hai aarjoo
Na kisi ajal ki talaash hai
Teri justju mein jo kho gayi
Mujhe us najar ki talaash hai

Jise tu kahin bhi na paa saka
Mujhe who apne dil mein mil gaya
Tujhe jahid iska malaal kya                                    ascetic,regret
Yeh najar najar ki talaash hai
Na sukune dil ki hai aarjoo

Tujhe do jahan ki khushi mili
Mujhe do jahan ka alam mila
Who teri najar ki talaash thi
Yeh meri najar ki talaash hai
Na sukune dil ki hai aarjoo

Meri rahato ko mitake bhi                                                 joy, comfort
tere gam ne di mujhe jindagi
Tera gaam nahi yunh hi mil gaya
Meri umr bhar ki talash hai
Na sukune dil ki hai aarjoo

Rahi noor meri yeh aarjoo
Na rahe yeh gardishe justju
Jo fareb-e-jalwa na kha sake
Mujhe us najar ki talaash hai
Na sukune dil ki hai aarjoo




No comments: