phir kuchh is dil ko beqaraarii hai
siinaa zoyaa-e-zaKhm-e-kaarii hai
[zoya=seeker, zaKhm-e-kaarii=deep wound ]
phir jigar khodane lagaa naaKhun
aamad-e-fasl-e-laalaakaarii hai
phir usii bevafaa pe marate hai.n
phir vahii zindagii hamaarii hai
be_Khudii be_sabab nahii.n 'Ghalib'
kuchh to hai jis kii pardaadaarii hai
Mirza Ghalib
No comments:
Post a Comment